" AADAMBAR "
Ishwar ki vandana karte hain hum sab ;
Sheesh navaye aakhein mundein ;
Bhari-bharkam mantro dwara puja sampann karein ;
Bahar jaakar kale kukarm bhi hum karein...
Hardum hothon par hai usse fariyaad....
He ! Ishwar aaj puri kar de murad ....
Puri karoge murad... sone ka chatra chadaonga ..
Tumahari mudra se tumahara mol laguonga ..!
Jab na dekhe koi to daan-peti mein haath maarunga...
Tumahara deeya tumko hi lautaonga....
Iss pavan bhumi par janm liya ...sanskaron mein pala..
Behen-beti ko Durga-Laxmi bun puja....
Ek samay un charaon ko bhi dhoya...
Phir Kans aur Raavan bun usiko loota;
Ishwar, humne to suna tha -
Karmon ka phal milta hai ?
Tab kyuon lootne wala adhik dhan sampann hota hai !
Pakhandi , lampati ki hoti hai puja-
Ab to iss yug mein tumko bhi hai khatra !!!
Dekho, dekho chaaron ore hai jhoot aur makkari
Iss se na bach paye ...neta, nar aur nari !!!
Aaj iss daur mein vipaasna , jeene ki kala seekhate
Tab bhi a.c. aur flight ka moh na tyaag paate!!!
Kahan hai Ishwar ? Mandir ya Gurudware mein....
Ya Masjid ke chaubarein mein...
Dhoodho..Khojo apne hi antarman mein..
Dikhega ..mehsuus hoga apni ruh mein
Na Mandir na Mazjid...na Girja na Guru ka dwara
Ishwar basta hai satkarmon mein
Bade-bade mantro se vah prasann na hoga
Paraspar sauhadra pyaar mein hi aatm-sukh milega
Ab bas bund karo ! Yeh jhoota aadambar
Bhari-bharkam mantro ka sirf uchcharan !!!
No comments:
Post a Comment