BE-WAJAH YUUN HEE......
Be-wajah yun hee naraaz hotey kyun ho
hamee' ko hum se judaa karte kyun ho
yuun na laao maathey pe shikan
be-wajah maahaul garm karte kyun ho
be-wajah yun hee......
tumhein toh baat ki baat bhee nagwaar' guzartee hai
be-wajah yun hee baat badhaatey kyun ho
thaam kar meri kalaayee kabhee jo sung chale thei'
be-wajah faasley- darmeeyaan badhaatey kyun ho
be-wajah yun hee.......
zindagee mein kabhee taareefon' ka daur' thhaa' shaamil
be-wajah yun hee nazrein ghumaatey kyun ho
kabhee hoti thi aankhon hee aankhon mein baatein
be-wajah yun hee sharmaatey kyun ho
be-wajah yun hee.....
bharam hai mera aaiiyanaa sach boltaa hai
be-wajah khud hee ru-baru' hone se ghabraatey kyun ho
aks' aur ashk' bhee th'ahartey hain kabhee...
phir be-wajah boondon' se dariyaa banaatey kyun ho
be-wajah yun hee......
bin mausam kii baarish kii tarah' barastey kyun ho
be-wajah yun hee sataatey kyun ho
yun hee khud se naraaz hotey kyun ho
be-wajah yun hee naraaz kyun ho
be-wajah yun hee naraaz hotey kyun ho...!!

No comments:
Post a Comment