" Sawaal "
Intezaar mein raahein taak rahei
kab aaoge sawaal karein
kyuun zindagee merii itnii sawaal bharee karte ho
arz' karte hain, nazdeek bhee tumhee bulaatey ho
phir kyuu jaane anjaane dooree yuun banaatey ho
bataao bhee aankhon hee aankhon mein sawaal kyuu karte ho?
yaad hai mujhe jab jee chaaha sarei aam pareshan' kiyaa
phir batlaao haule se itna muskuraatey kyuu ho?
jhadii lagee baarish kii, zindagee chand' lamhon kii
phir kyuu jeena ghadee ghadee muhaal karte ho?
aate jaate thaktey nahee nazron ke teer maarne se
kyuu tum nahak mere gaal surkh laal karte ho?
mohabbat toh jee todh kee hai tumse sanam
kyuu phir lafzon se bayaan' karte ho?
nazron se nazron ko mohabbatein aielaan karne do
kyuu tum bewajah pareshan karte ho?
zindagee meri kyuun sawaal bharee karte ho?

No comments:
Post a Comment