Wednesday, September 25, 2013

Dard Ka Ahsaas......

August 31, 2011 at 11:02pm
Kal  bazaar  se  laut te  waqt ,kad’ii dhoop  se  jhu’las te  hue ...
Galaa  sookh  saa  gayaa,haath-paaonv’ jaise apne bas ke baher ho gaye..
Saaye  kii talaash  mein  nazrein  idhar-udhar daudhaaiieen’...
Toh’ duur’...eik  akela, tanhaa  sa  pedh’ dikhaa
Zyaada  ghanaa toh nahiien  par raahguzar  ko panaah’ den eke liye  bahaut  tha’
Vahiieen  sustaaneyh key liye thahaer gayaa...
Cham chamati, kinkinaati ,sulagtii  dhupaharii aur parindaa bhi na dhikhayee de raha...
Phir insaan  kii umieed  rakhna ???
Khaiir ...thodii der mein lagaa  mano’ kaheein  darakht se awaaz aa rahi ho..
Up’par-neeche  dekhne key baad samajh aaya ki aawaaz iisii pedh se aa rahi thii’
Haan vah, viraan tanha pedh, apna dukhdhaa keh raha tha’
Usskaa  koi sunne vala naa tha’
Na hii uskii koi sunvaayii thii
Vah toh har roz’ eik maut martaa tha’
Koi uska saathi bhi nahin bachaa tha’
Har din iss khauf mein jeetaa...
Kii uskaa anjaam kyaa hoga?
Kyaa vah bhii baakiiyon ki tarah......???
Kulhaarii kii dhaar kaa saamna kar paayega...?
Yaad hai usko unn sab kaa hashr’
Kis tarah aadhe-adhure ,bedardii se ,noch-khasotkar raaste par daal diyey they’
Phir kisi ko chulah naseeb hua toh kisi ko alaav mein jhonka...
Uske dard ko soonkar ,main behad laachaar mehsoos kar rahaa tha’
Main jaanta tha’ hum mein se ek baashindaa bhi use gher kar khadha na hogaa!
Sab ko apney choolhe kii fikr hogii
Koi uskii haree-bharee daaliyon ki nahii sochegaa
Aur,afsos main bebas, lachaar  chaar  insaan nahi jutaa paunga
Mere  kaano’  mei uskii siskii der tak goonjtii rahi...
Par main bebas insaan !!...... chaar log na dhoond paya uskii hifazat ke liye!
Dard hota raha, siskii goonjti hii rahi !kuch kar na saka..
Koshish karoonga auron kii tarah bas chalta chala jaoon..
Cheekhon ko ansuna karne kii aadat daloon...
Andekha kar doon, andha aur behra ban jaoon!Sirf ,sans letaa rahun! sansei...sansei !!!

No comments:

Post a Comment