khalish
kyu uska chehra reh reh ke aankhon ke saamne aa raha
kyu ber ber vahi manzar chhaa raha
khuli aankhon se jab cha'in nahi milta toh aankhein band kar leti hun
lekin vah chehra hai kii bas peeche hi nahi chodta
sunaa tha koi haadsaa hua tha
afsos' main uske paas na thi
mushkil daur mein uske saath chal na saki
uski taaqat na ban saki
itne baras beete mujhe toh ye bhi nahi maaloom voh hai kahan
ik khalish si sataati hai
shay'd isi liye uski yaad mujhe uske chaubaare tak kheench le gayee
par maayusi haath aayee....
khuda' use salaamat rakhe
mere bachpan ki saheli thi voh......

No comments:
Post a Comment