"Fariyaad"
haqeeqat hai yahii
waqt ka taqaaza bhi yahii
zehan mein apne yaadein salaamat rakhna
itnii rehmat maula mere karna...
rahe jitne kitne hee faasle
dil mein jazbaat simtaaye rakhna
itnii inaayatein karam maula mere banaye rakhna...
aa jaaye jo jhalak zulfon mein chaandani kii
narmo garam aehsaas sulgaaye rakhna
itnii rehmat e karam maula mere karna...
voh zindagii hee kyaa jo yaadon ki chingaaree jalaye na rakhe
bas shola na bhadke,
itnii inaayat maula mere karna.....

No comments:
Post a Comment