Prashnn -Chinh
Yeh jeevan kitna deergha- laghu ;
Kis ne jaana kitno ne maana-
Prashnn-chinh sab ore ;
Kaise vyateet karein ? chalein kis chhor ?
Duvidha hi duvidha - har shan pal-pal
Raste do- Satya-sangharsh ki ore
Athwa asatya -adharma ki hodh ! !
Pothi- panth sahi baat kehte
Ram ne anekho kasht uthaye ;
Vun mein jhute ber bhi khaye
Shul -kaanto ko gale lagaya;
Dhara ka bichhauna banaya !
Kintu-parantu ! Vah tab tha !
Ab iss yug mein kiske itni shamta hai ?
Dus kadam chod do kadam paidal chalta hai !
Phir prashnn hi kahaan uthta hai ?
Kaanta-shul tab kahaan chubhta hai
Raja Ram ne kartvya -dharm ka daman pakde
Komal pairon se chalte- Hastein dard saha -
Aaj ka ram aur raja bhi
Apne kartvya ka aanchal thamei;
Bharte udaan -Udaan bharte kathor kiyei paon
Ab na kanta na tees !
Tab Ram ne matr-pitr ka dharm nibhaya
Aaj ka ram bhi banta...dikhata...
Aaj vah bhi banvaas sehta
Fark hai kitna-
Tab vah rudan karta ..Ab hasta...
Gaya tha vun ki ore ..
Ab ek shahar ....alag chhor ;
Tab aansu hi ashru bahei thei
Aaj kataksh ..vyangya kastei
Matratav par teer chalate
Man hi man budbudate...khetei...
"Kuchh anokha nahi kiya ....
Janm to sabhi dete hain-
Aisa kyaa kamaal kar diya ! ! !"
Yeh jeevan haai humne vyarth jeeya !
Kaise vyateet kiya....
Kaise vyateet kiya.....
Kis ne jaana kitno ne maana-
Prashnn-chinh sab ore ;
Kaise vyateet karein ? chalein kis chhor ?
Duvidha hi duvidha - har shan pal-pal
Raste do- Satya-sangharsh ki ore
Athwa asatya -adharma ki hodh ! !
Pothi- panth sahi baat kehte
Ram ne anekho kasht uthaye ;
Vun mein jhute ber bhi khaye
Shul -kaanto ko gale lagaya;
Dhara ka bichhauna banaya !
Kintu-parantu ! Vah tab tha !
Ab iss yug mein kiske itni shamta hai ?
Dus kadam chod do kadam paidal chalta hai !
Phir prashnn hi kahaan uthta hai ?
Kaanta-shul tab kahaan chubhta hai
Raja Ram ne kartvya -dharm ka daman pakde
Komal pairon se chalte- Hastein dard saha -
Aaj ka ram aur raja bhi
Apne kartvya ka aanchal thamei;
Bharte udaan -Udaan bharte kathor kiyei paon
Ab na kanta na tees !
Tab Ram ne matr-pitr ka dharm nibhaya
Aaj ka ram bhi banta...dikhata...
Aaj vah bhi banvaas sehta
Fark hai kitna-
Tab vah rudan karta ..Ab hasta...
Gaya tha vun ki ore ..
Ab ek shahar ....alag chhor ;
Tab aansu hi ashru bahei thei
Aaj kataksh ..vyangya kastei
Matratav par teer chalate
Man hi man budbudate...khetei...
"Kuchh anokha nahi kiya ....
Janm to sabhi dete hain-
Aisa kyaa kamaal kar diya ! ! !"
Yeh jeevan haai humne vyarth jeeya !
Kaise vyateet kiya....
Kaise vyateet kiya.....
No comments:
Post a Comment